Aehsaash Tera


-: Aehsaash Tera :-

 

Aehsaas Tera hota hai muje

Aisha nahi hai ki yaad nahi karte tuje

Par Tera bhi Aehsaas hota hai muje

Yun toh gumsum sa rehta hu Main

Shine main Thoda dar sa rehta hai

 par pal pal shanbhalata hu Main ...

Dar iss bat Ka Rehta hai ki

koi tuje mujase churana le...

Par bar bar khud se hi kyun

Judh bolata hu Main......

 

Ab toh muje khud par bhi tarash aati hai

Ek pal nahi harpal yaad Teri aati hai

ye baat kabhi bhi kahi nahi hai tuje

Kyun ki tere hardum sath hone ka

 Aehsaas bhi hota hai muje .....

 

Yun toh raat ko need toh aati nahi hai..

Bs raat ko sitaron se bate Karna...

Chand ko dekh kar gunguna na......

Neele Aashman main Tera chehra dekhana.....

Ab mere pass bas yahi toh hai .....

 

Jese banjar Registan main  Koi banjara

Ek pani ki talak ke liye tadapta hai...

Vese hi ye aashiq Teri har ek

jalak dekhne ko tadpta hai....

 

Itane toh pagal hue the hum...

Issiliye shayad kisi ne pucha tha humse ki

Aishi toh kya bat thi ushme .....

 

Tab humne kaha tha ki...

Jese nadi ke pani main ek

machali cham se leherti hai..

Vese hi hum ushki aankho main behkte hai....

 

jese uchhe paravat ki mitti par

subhaha osh girati hai..

Vese hi komalta ushke

Mulayam hoto par jalak ti hai....

 

Ushaki tarif karne main toh

puri kitab bhi bhar jaaye

Par iss bat Ka afshos toh nahi hai muje

Par tere har vakt sath bolne ka

Aehsaas bhi hota hai muje.....

Yun toh jese chotte bachhe

 kuch pane ke liye rote hai....

Vese hum bhi thode nadan The ....

Hum bhi tuje pane ki jid karte hai.....

 

Ab bhi in viraan kaano main..

Tere hasne ki awaz gunjati hai....

Man toh karata hai in lamho ko

 ek sanduk main ked kar lu....

Or phir jab man chahe isse khol kar yaad kar lu tuje......

 

Saayad Issi liye har pal Teri parchai ke

Sath hone ka aehsaas bhi hota hai muje......

 

Socha tha ki khud bhatak Jane se

pehle tuje tere dar par chod du....

Socha tha ki khud bhatak Jane se

 pehle tuje tere dar par chod du.... ...

Par muje kya pata tha ki tere dar par

 aake hi bhatak jaunga main....

 

In sitaron ki manjil ke raste katon se bhare the......

In sitaron ki manjil ke raste katon se bhare the......

Par in katon se bhi mohhbat Ho gayi thi humse....

Kyunki ye Kate bhi tere lahu ke rang se Range the.......

 

Yun toh Raah main......

Pau main chale tuje bhi pade the...

Pau main chale muje bhi pade the...

Par aaj bhi yaad hai muje vo raah

Par aaj bhi yaad hai muje vo raah

Jab hum ek dusre ke pau ke upar pau rakh

Kar chale the…..

 

Yun toh aehsaan Tera bhi hoga mujpar

Yun toh aehsaan Tera bhi hoga mujpar.......

Mere dil ki jo bat hai usse kehne de...

Bs ek pal.., ek raat.., bs ek lamhe ke liye

Tere sath muje rehne De....

 

Yun toh samane Beth kar baat bhi karna

Chahte the...

Par tere samane aane se

Mere lafz bhi kahi kho jate The ......

 

Yun toh ye mausham bhi samay se pare aate the....

Ye sare din tere intzar main yun hi Kat jate the....

 

Na aayi bahare, na aaye vo din...

Nahi aaye vo mausham..

Jise chahe The tere Sath bitane...

 

Lagati thi ye rate bhi lambi hume.....

Lagati thi ye rate bhi lambi hume.....

Par humara kya tha..

Hume toh yun-hi bedhe rehna tha..

Sirf aapke aane ki ummid main.....

 

Ye intezar ki gadiya badi lambi toh lagati thi muje......

Ye intezar ki gadiya badi lambi toh lagati thi muje....

Par kya Kare..... 

 

Tere wapash aane ka aehsaas bhi hota hai hota tha Muje........

 

-Ajay Rajput

 

 

 

 

 

 

 


एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ