"Agar jaana hi tha tumhe ek din muje yun chod ke toh,Meri zindagi me tum aayi hi kyun"
Zindagi me har ek pal bada kimati hota hai
Or unn kimati palon me kuch kimati log hote hai
Jab muje bhi tune yun sabse alag rakh kar kimati banaya toh,
Fir baad meri nilami karavayi hi kyun
Agar jaana hi tha tumhe ek din muje yun chod ke toh,
Meri zindagi me tum aayi hi kyun
Kehte hai zindagi ek Safar hai
Or hum uss Safar ke Banjaare
Jab uss Safar me Thodi der tak Sath chalakar
Muje inn viraan rahon me Akela chodana hi tha toh,
Meri humsafar banake tum aayi hi kyun
Agar jaana hi tha tumhe ek din muje yun chod ke toh,
Meri zindagi me tum aayi hi kyun
Kehte hai Murjaaye hue fulo ko
Jab Pyaar bhare hathon se chuu lo
Toh vo bhi khil uthate hai
Mere dil me bhi tune yun pyaar ke guldaste banaye the
agar baad me usse bhi ek din yun murjaa jana tha
toh aaj tak tune apne pyaar ka pani unn pe dala hi kyun
Agar jaana hi tha tumhe ek din muje yun chod ke toh
Meri zindagi me tum aayi hi kyun
Log Pyar me bade waadyein karte hai,
kitani duayein karte hai Or kitani kasme khate hai
Tum ne bhi muje kitane waadyein kiye the, kitani kasme khayi thi
Or mere liye kitani duayein ki thi
Agar jo unn wadon ka, unn kasmo ka, or unn duaon ka aage koi wajood hi nahi tha
toh ye wadyein, ye kasme, or ye duayein karne ka natak tumne kiya hi kyun
Agar jaana hi tha tumhe ek din muje yun chod ke toh
Meri zindagi me tum aayi hi kyun
Kehte hai ki zindagi ummidon par chalati hai
ek ummid hi hoti hai jiski wajah se aap ek bar har kar bhi fir se udh jate ho
Tumne bhi muje kayi ummidon ke dher me dala tha
Agar jo vo ummide aage kabhi kamil hone wali hi nahi thi
Toh tumne muje yun ummidon ke dher me jakad kar rakha hi kyun
Agar jaana hi tha tumhe ek din muje yun chod ke toh
Meri zindagi me tum aayi hi kyun
Kehte hai ki vo inshaan rahe na rahe Par ushke sath bitaya har ek pal
Ek lamha, ek yaad ban kar humesa humre pass rehta hai
Tumne bhi Muje Bada hasha ke, rula ke aishe kayi sare lamhe or,
Yaadyein banayi thi
Jo muje pehle khusi dete the, aaj vahi lamhe or yaadyein muje rula rahi hai
Agar jo Muje unn lamho ki wajah se baad me sirf dard milane wala tha
Toh aishi yaadyein, aishe lamhe tumne mere sath banaye hi kyun
Agar jaana hi tha tumhe ek din muje yun chod ke toh
Meri zindagi me tum aayi hi kyun
Kehte hai ki Pyaar jo hota hai
Vo chahe kitana bhi bura inshaan ho, uss inashan ko badal deta hai
Tune bhi iss pyar me muje khud sa banakar rakh diya tha
Meri aadton ko badal diya tha
Agar jo vo Pyar sirf kuch dino, kuch ghanton Or shayad kuch lamho ka tha
Toh aisha Pyar tune mujse kiya hi kyun
Agar jaana hi tha tumhe ek din muje yun chod ke toh
Meri zindagi me tum aayi hi kyun
0 टिप्पणियाँ