:- KABHI SOCHA HAI -:
"Dar"
ye dar hota kyaa hai, pata hai.
kabhi iss dar ko mehsoos kiya hai
kabhi pure najdik se dekha hai ushko...
jab hum na apne halaton se apne aap se juth bolte hai jab na hum apne sath kuch hone ya na hone ka
aehsaas dilate hai jab na humko lagata hai ki mera iss duniya me koi nahi
.....mera kuch sunane wala koi nahi.....tab jo dikhata hai, tab jo mehsoos hota
hai vo dar hai
hum na apni zindagi me humesha darte rehte hai sab
baton se vo chahe kuch karne ki ho ya fir kuch sab ke samne bolne ki ...tab na
ek badi ajeeb si man me nirashha aa jata hai ...tab na to hum ko koi umeed
dekhati or na hi koi sahara jo sath aake khade rahe..
tab na aap ek aishe kuve me chale jate ho jaha sirf
andhera hai ...na vaha kisi ki aawaj hoti hai..na hi kisi ki aahat..vaha sirf
tum hote ho sirf tum ..tab tum sirf saari duniya ke pare jo aapna ek alag jahan
hai uss me chale jate ho..jaha sab apana hai ..jaha chalati bhi sirf apani
hai...jaha sab log bhi sirf apani bat mante hai or uss duniyaa ko app sab aapka
"man"(mind) kehte ho.....
jab aap ek aishe aayab me fass jate ho ...tab na
aapaka man aapko bahot sare prashno me or badi uljano daal deta hai... or vo
khud hi unn sare prashno ke jawab bhi deta hai or saari uljano se bahar bhi
nikalata hai ..
pata hai humesa aisha kyun hota hai ki hum sab log
subhaha jagate hai or raat ko so jate hai..
kyun raat ke andhre me chahe jo bhi ho humre sath par
hum khud ko humesa ekle me pate hai..
kyun hum humesa kisi ke samne apni bat rakhne ya karne
se darte hai..
kyun hum duniya ke samne jese bhi ho par humesa undar
hi undar apne aap marte hai..
kyun hum sabake samne haste hai or phir ekle me raat
ko ek kone me bedhkar chupte chupate rote hai..
kyun hum har waqt khud ko kuch na kuch humare sath
hone ka aehsaas dilate hai...
kyun koi humari zindagi me kayi sari khushiyaan leke
aata hai or fir bahot sare gam de kar chala jata hai..
kyun hum udashi me ya bebasi me chadar odh kar ya fir
khud ko shimet kar so jate hai…….
kyun kabhi na toh kabhi par humare apne bhi yun paraye
ho jate hai ...
kyun humesa ye khushi or hasi ke lamhe fat se aa kar
fir shant pani ki tarah tham se jate hai..
kyun kabhi hume ek anjaan ke liye pure parivar ko yaa
fir parivar ki wajah se uss anjaan ko chodana padata hai..
or ye sab na sirf inshano ki zindagi me hota hai
aeisha nahi hai ...ye sab naturally bhi hota hai jese kabhi socha hai...
kyun humesa kale badal neele or khule aasman ko dhak
jate hai..
kyun ye shant or mithi lagati hawayein kabhi tufano me
taqdil ho jati hai...
kyun ye shant pani ki dhara ek din sunami ban jati hai
....
sansar me koi bhi baat aeshe hi nahi janam leti hai
ushka koi na koi toh jaroor matlab hota hai..
-Ajay Rajput
0 टिप्पणियाँ