Main dundh raha hoon



Sar uthake maine kitani 
khwaishein ki thi...

Kitani Shajde maine uss se,
Or, khuda se kitani duayein ki thi...

Main Dundh Raha Hoon,

Main dundh raha hoon uss khuda ko
Jisne muje sab milane ki aash di thi..

Main dundh raha hoon unn wadon ko jo
Ussne mujase kiye the..

Main dundh raha hoon unn yadon ke lamhe ko jo
Ussne mere sath banaye the...

Main dundh raha hoon khud ke Aehsaash ko jo 
Kabhi uss ke undar kho gaye the....

Pyar sirf do, Or ek aadhe  lafz ka Alfaaz hai

Or Kehte hai ki Jo inshaan pyar karta hai 
Vo inshaan, inshaan nahi rehta..

Main dundh raha hoon uss inshaaniyat ko jo
Kabhi uss ki wajah se mere  me aayi thi...

Main dundh raha hoon uss mehek ko jo
Ushki mere jism par chayi thi..

Main dundh raha hoon uss khushi ko jo
Kabhi uss ke subhah ke "Message" se thi aati thi...

Main dundh raha hoon uss Mushkurahat ko jo
Kabhi uss ke hasne ke baad mere chehre par aati thi..

Shubhah, Dhopaher or Sham ke dhundhale ujale me,
Me khud ko shambhal leta hoon kyonki tab me 
Khud me sirf tujko pata hoon...

Par jab raat hoti hai tab khud,
Me fir se uss andhre me chala jata hoon
Or khud ko fir se Akela pata hoon...

Main dundh raha hoon uss raat ki thandi ko jo
Jab bhi mere tan ko chuti thi, toh muje sirf tera aehsaah dilati thi..

Main dundh raha hoon uss chand ki chandani ko jo
Muje tera chehra dikhalati thi..

Main dundh raha hoon uss takiye ke sath lipat kar shote hue nind ko jo
Muje Tere Sath sone ka sukoon deti thi...

Main dundh raha hoon unn sapano ko jo 
Kabhi tere sath pure karne ke meri khwahis thi..

Sab ye kehte hai ki, ye Lafz or Sangit ye sab vo chize hai
Jo aap jab akele ho jate ho to ye aapka sath deti hai
 
Issi-liye,

Main dundh raha hoon teri uss Aawaz ko jo
Kabhi mera Sangit tha.. 

Main dundh raha hoon teri uss payal ke chankaar ki gunj ko jo
Kabhi mere shaaj tha..

Main dundh raha hoon tere kaano ke uss Jhumake ki 
Hawa ke sath lahkti lahak ki Aawaj ko 

Main dundh raha hoon tere kangan ke uss khanakar ko jo
Kabhi mera parkhaaj tha..

Sab ye kehte hai ki aapana ye jism sirf ek Mitti ka dher hai,
Har dum kamil toh ushke undar basi rooh hai 

Or, Sab ye bhi kehte hai ki pyar jism se nahi rooh se hota hai

Toh,

Main dundh raha hoon teri uss dil Dhadakan ko jo
Kabhi mere dil ki Dhadakan ke sath Dhadakati thi 

Main dundh raha hoon teri vo rooh ko jo 
Kabhi meri rooh ke sath rehti thi

Main dundh raha hoon tujko 
Jo Kabhi mere sath hoti thi,
Jo Mere kan pakad kar muje Datati thi,
Jo Muje be-wajah hashaya karti thi,
Jo Mere har ek dard ko apana dard banati thi,
Jo Mere ek swash ko khud me Sama leti thi,

Main dundh raha hoon TUJKO... 

Main dundh raha hoon.............):


-Ajay Rajput







एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ