-: Hum bhi chale the :-
Hum bhi chale the iss jamaney main
Bs khud ko hi sath liye (2x)
Or chalate chalate humne pure
Raat din ek kiye ...
Socha tha ki safar main koi
Sathi toh mile (2x)
Par safar main sathi toh bahot kam
Kate jyade mile ...
Hum bhi chale the ek chhoti si naadi ko
Sagar main milane (2x)
Par ek naadi ka sang ye
Sagar kya jaane.......
Hum bhi chale the chhand or taron ko
Ushke liye zameen par lane (2x)
Par iss mohhabat ka rang
Vo dilbar kyaa Jane.........
Zindagi ke iss Safar main chalate,
Chalate ye toh jaana ki....
Safar main koi bhi kisi ka
nahi hota... Phir bhi kyun .. ...
Hum bhi chale the usse apana banane ...
Usse apana banane...
Kabhi bhi ek panchi ko shaan se
Udate hue dekha hai... (2x)
Hum bhi chale the apane sapano ki
Iss udan main...
Kabhi bhi kisi badal ko aashman main
Fat se Jate hue dekha hai.. ......
Kabhi bhi kisi naadi ke bahav ko
behate dekha hai... ...
Kabhi bhi kisi hawa ke rookh ko
Mehsoos kiya hai...
Vese hum bhi chale the usse dekhane
jise kabhi sapano main Maine dekha hai......
Kabhi socha hai......
Aisha kyun hota hai ki hum humesha
ushi Se pyar kyun karate hai jo Hume
Milane wala hi nahi hai....
Aisha kyun hota hai ki hum har waqt
Sabhi se kuch pane ki aash kar lete hai...
Vese hum bhi chale the kuch Aisha
pane ki aash main jo humara tha hi nahi......
Jo hume milane wala hi nahi....
Or jo humare naseeb main hai hi nahi......
Aaj bhi hum sochate hai ye ki
Na jane hum hi kyun chale
the......
- Ajay
Rajput
0 टिप्पणियाँ