:- "Tere
aate hi" -:
jab tu nahi
thi
zindgi ka
sfar jane suke kuwe ki tarah tha
jisme main
ek pyasa or nadan ek pathr sa kahi pada tha
jise koi
pyar se dekhata bhi nahi ho , ya jishko kisi ne pyar se chuva bhi na ho
par vo kehte
hai na ki jab man main pyar ka sumndar ho toh
pathr main
bhi rab dikhata hai
vese hi
main kab ek na jaan pathr se ek najuk sa phool ban gaya vo pata hi nahi chala
tere aate
hi main jhulata hua jhuula ban gaya
jo humesa
hawa ke sath hawa ki or jata hai
tere aate
hi maine khud se jyada kisi se pyar kar ne ka sahi matlab shamaja hai
ek alg se
suroor ko badi kefiyat se khud main mehsoos kiya hai
kahi
gungunate mere man ko , to kahi jumate gate hue tan ko
maine apni
undar kayi arse ke bad dekha hai
aaj se pehle
kabhi kisi ki khusi ki aehmiyat pata nahi thi muje ..
tere aate
hi main kisi ki khusi ke liye khud se ya kisi or se judh bolna sikha hai...
ab muje koi
pagal bhi kehta hai to kabhi uss par gussa nahi aata muje
kyunki ye
baat toh such hai ki pagal toh tere liye main thoda bana hun.
kabhi filmo
main dekha tha ki pyar hone par koi apne aas pas ki chizon ko bhul jate hai
apne hath
me pakadi hui kalam ko chai main duba dete hai ....
par jabse
tum aayi ho meri iss choti si zindgi main
muje bhi ye
bateyien sacchi lagne lagi hai ....
raton main
rateyin lambi or teri vo bate thodi sanky lagne lagi hai ..
ab tujase
vo har bat par jagd na or tujse har bat par haar jaan ek mitthi si aadat ban
gayi hai
tuje nahi
pata par ....
tere aate
hi main tera rabbata karane laga hun
teri, ki
gayi hui baaton ko apni yadyien banane laga hun
khud se
jyada teri khushiyaan ki mannate khuda se mangne laga hun..
tere aate
hi maine khuda se duwayein mangna shikha hai
kisi se
sajde karana sikha hai
tujse pehle
khud marne ki batyien karana sikha hai
teri rooh
ke sath apni rooh milate dekha hai..
teri har ek
sas ko mehsoos kiya hai ..
teri har ek
dhadakan ki aawaj ko maine aapana sangit banaya hai..
tere har ek
aanshu ko aapni aankho se pocha hai
tere har ek
dard ko apne jism se lapeta hai maine
tere aate
hi maine man se rona sikha hai
tere aate
hi maine apne tan ko dhona sikha hai
teri aate
hi meri kismat ko khuda ne pehle se behtar nawajah hai..
jab na main
kisi se ab bat karata hoon toh maine sahi tarike se pesh aana sikha hai...
rat ke
andhre main sone ke dar ko ...tuje khone ke dar ko mitana sikha hai
meri saari
buri aadton ko chodana sikha hai..
tune meri
zindgi main aake mere sangeet ko sahi soor diya hai..
meri
pareshaniyon mere gusse ko mujse door kiya hai ....
tere aate
hi main apne undar jine laga hoon...
sirf tuje
hi apni zindagi manane laga hoon...
ekle hi
ekle main bedh kar mushkurane laga hoon ....meri parchaiyi ko sirf tujme dekhn
laga hoon...
tere aate
hi sirf main tujme jine laga hoon..
sirf main tujme
jine laga hoon……
- AJAY RAJPUT
0 टिप्पणियाँ