:- Majbooor Hai Koi -:
Duniya me kayi sari chize aeshi hoti hai
jo apni marji se nahi karte hum log....
kitane rishton se bandhe hai
kitane wadon se bandhe hai hum log..
iss jahan me na sab koi kisi na kisi chiz ke liye toh
majboor hai
jise ki wajah se kayi sari chize bebasi or na marji se
karte hai hum log...
kabhi socha hai ki,
apni hi pareshani apane mammy papa ko batane se kyun
yaha darata hai koi
kyun apne hi mammy papa ko gale lagani ki lazza
rakhata hai koi
na jane soche bhi itani choti si ho gayi hai
ki apne hi rab ko milane se bhi piche rakhata kadam
hai koi
muje shamja nahi aata par aakhir kyun itana majboor
hai koi.....
Rishton ke iss suke registhan me ,na kisi ko kisi ki
yaha parvaah hai..
or nahi hi yaha kisi ko kisi ka maan-samaan..
phir bhi najane kyun rishton ke iss aayab me dusharo
ko dikhava karne ki liye majboor hai koi...
hasi ki iss duniya me kisi ki feelings ki bhi yaha
parvaah nahi hai kisi ko..
nahi kisi ke dil me aehmiyat ki jaroorat
apne dukh or apni halat dikhane se bhi yaha humpe
hasta hai har koi
issi liye na jaane kyun aapana dard bhi baya kisi ko
na karne pe majboor hai koi...
kabhi socha hai ki..,
jishne raat din dhokare khayi, ek tute fute zhopade me
apani saari duniya sajayi..
jish ki wajah se tu khud ko shamjata aapna naseeb hai.
kyaa uanki haal bhi puchane yaha jata hai koi
tu haal ki baat toh chod , unke sath aake bedhane par
bhi yaha man me deta gali hai har koi
tuje kyaa pata unke bare me, rashte pe padi roti bhi
yaha khane ko majboor hai koi..
kisi ki maa kaho, ya kisi ki beti.
sabhi ko apni gandi najar se dekhata hai ye jahan ,
chauraahe pe kisi ko dekh kar gande lafz bolta hai ye jahan
yaha kisi ki ijaat ke bajay man me kaam rakhata hai
har koi
ek baar unhe ke dil se toh pucho ki kya mehsoos hota
hai , jab unhe randi kehta hai har koi...
yaha mutthi bhar ijjat ke kamane ki aahs rakhata hai
har koi , sayad issi liye ....,
2 vakt ki roti ke liye apna jishm bechane pe majboor
hai koi...
pyar me sab sath jine marne ki kasme khate hai, sath nibhane
ki bate karte hai.
iss khel me pata nahi chalata ki kon sachha or kon
judha hai
phir bhi iss pyar ke bazar me humesa akela reh jata
hai koi, or kisi ke pyar ki khushi ke liye
apne pyar ko mar ne ke liye yaha majboor hai koi
majboor hai koi......
-Ajay Rajput
0 टिप्पणियाँ