Intezar Hai Hume Aapka




Intezar hai hume aapka,


Subhah uthate hi yun Mehsoos hoti 
Ye thandi or madham si hawaon me aehsaas hai  aapka

Yun Subhah se le kar raat tak 
Or baad me Raat se le kar subhah tak ke
Har ek pehlu me intezar hai aapka

Din me toh yun chehre par halki si 
Muskuraht humesa rehti hai

Kynoki jab bhi hum kisi shaksh se
Milate hai toh baat bhi humesa aapki rehti hai

Fir bhi hum aaj tak unn aanshu-o ko 
Khud se or auro se chupa nahi paaye

Jo sirf aapki na mojudagi se
Meri aankho me har ek pal aaye

Fir bhi kahi na kahi khud shambhal lete hai hum,
Inn bin bulaye aanshu-o ko bhi aapki hasi ke sath kahi chupa lete hai hum 

Ek baat hai ki,

Aaj bhi jab pyar se yun hathon ko khula karte hai
To lagata hai kahi na kahi inn-me rukshaar hai aapka

Ye intezaar ki inteha jise bhi leni hai leno do,
Mere dil ke bandish gar me hume humesa intezaar hai aapka

Tasveer ko dekh kar aapki dil ko
Kahi na kahi na behla lete hai hum

Jab aapse milane ki badi khwahis ho jati hai humari
Toh khud me aapko dekhkar thodi toh thodi der hi sahi par 
Baat kar lete hai hum 

Mere mu se nikalate har ek lafz me naam hota hai aapka
Mere mu se nikalate har ek lafz me naam hota hai aapka


Me ye khud dekhkar hosh kho bethata hoon ki,
Mere saaye ke sath bhi khud rehta saya hai aapka

Chahe ye dooriyaan, ye fasle kitane bhi lambe ho jaaye
Hum humesa karte ikraar hai aapka

Chahe ye intezaar ki umr bhi badi ho jaaye
Magar fir bhi hume sari umr intezaar hai aapka  

Jab hum yun akele or ghumshuda hote hai toh
Aapke sath ki gayi har ek baat ko yaad kar lete hai hum

Kahi ye yaadein or ye lamhe gum ho na jaaye
Issi-liye inhe apne dil ke sanduk ghar me ked kar lete hai hum

Aapse baate bhi karni hai 
Aapke sath ghumna-firna bhi hai
Or, aapke sath badi ranjise bhi karni hai

Magar ye saari khwahisein ko kahi na kahi duba kar rakh dete hai hum

Aapko ko bahot kuch kehna hai
Bahot kuch jatana hai hume,

Magar inn jasbaaton ko bhi kalam ke jariye kagaj par likh dete hai hum

Ye jo kisse Or kahaniya me logo ko sunata hoon
Unn har ek kisse Or kahaniyo me izhaar hai aapaka

Man chahe kitani bhi martabah haar man le,

Man chahe kitani bhi martabah haar man le
Magar dil kehta hai ki, dil me humesa intezaar hai aapaka

Intezaar hai aapaka.....



- Ajay Rajput

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ